Tha mai hawa ko cheertha sabko raah dikhata
nayee jagah naye manzil dikhata
hawa woh thi suhaani
khushboo bhari aur paagal jawaani
akela itna oopar udhtha
sooraj ko dekh dil mein ummeed jagaatha
tha mai kitna kush-kismat
vartmaan mein tha mai aur meri thi jannat
samay ne kee aisi kaaya palat
sab chod gaye jat-pat
apne kushi apne aashiyaan sajaane
jazbaaton ko bhool manzil ko paane
uss hawa ki bhi rukk badal gayi
meri woh thi aaj kisi aur ki ho chali
oopar udhkar sooraj se shikwa karne mai chala
dard bhare dil ka bhaar na sambhla
gira mai darti par aise,rooh bhi mujhko chod chala
