Sunday, May 15, 2011

Kyon

Akelei pal mein mai ghum hoon kyon
sannaate mein yaad aaye woh pal hi kyon
jise bhula na paaoon aisa dard kyon mila
kahaan ja raha tha aur kahaan mai chala

aise aankh moonde unn aankhon ko yaad kar raha hoon mai
tapkaake boonde syaahi se likh raha hoon mai
Akelei pal mein mai ghum hoon kyon
sannaate mein yaad aaye woh pal hi kyon

woh mujhse yoon mili, socha mai sudhar gaya
woh yoon chod chali, kaanch sa bikhar gaya
ek-ek kar thukdon ko jod raha hoon mai
baar-baar TooTtha hoon, but i don't know why

Akelei pal mein mai ghum hoon kyon
sannaate mein yaad aaye woh pal hi kyon